Shayari
dekh aao mariz-e-furqat ko
rasm-e-duniyaa bhi hai savaab bhi hai
ek kah kar jis ne sunni ho hazaaron baatein
vo kahe un se mujhe aap se kuchh kahnaa hai
ایک کہہ کر جس نے سننی ہو ہزاروں باتیں
وہ کہے ان سے مجھے آپ سے کچھ کہنا ہے
एक कह कर जिस ने सुननी हो हज़ारों बातें
वो कहे उन से मुझे आप से कुछ कहना है

dekh aao mariz-e-furqat ko
rasm-e-duniyaa bhi hai savaab bhi hai
jaan agar ho jaan to kyun-kar na ho tujh par nisaar
dil agar ho dil tiri surat pe shaidaa kyuun na ho
dil ko jaanaan se 'hasan' samjhaa-bujhaa ke laae the
dil hamein samjhaa-bujhaa kar su-e-jaanaan le chalaa
ishq mein be-taabiyaan hoti hain lekin ai 'hasan'
jis qadar bechain tum ho us qadar koi na ho
o vasl mein munh chhupaane vaale
ye bhi koi vaqt hai hayaa kaa
gulshan-e-khuld ki kyaa baat hai kyaa kahnaa hai
par hamein tere hi kuche mein paDaa rahnaa hai