Shayari
tu ek saal mein ik saans bhi na ji paayaa
main ek sajde mein sadiyaan kai guzaar gayaa
yahaan mazbut se mazbut lohaa TuuT jaataa hai
kai jhuTe ikaTThe hon to sachchaa TuuT jaataa hai
یہاں مضبوط سے مضبوط لوہا ٹوٹ جاتا ہے
کئی جھوٹے اکٹھے ہوں تو سچا ٹوٹ جاتا ہے
यहाँ मज़बूत से मज़बूत लोहा टूट जाता है
कई झूटे इकट्ठे हों तो सच्चा टूट जाता है

tu ek saal mein ik saans bhi na ji paayaa
main ek sajde mein sadiyaan kai guzaar gayaa
ye bad-nasibi nahin hai to aur phir kyaa hai
safar akele kiyaa ham-safar ke hote hue
meri sanjida tabiat pe bhi shak hai sab ko
baaz logon ne to bimaar samajh rakkhaa hai
ye intiqaam hai yaa ehtijaaj hai kyaa hai
ye log dhuup mein kyuun hain shajar ke hote hue
vo ek raat ki gardish mein itnaa haar gayaa
libaas pahne rahaa aur badan utaar gayaa
tere mehmaan ke svaagat kaa koi phuul the ham
jo bhi niklaa hamein pairon se kuchal kar niklaa