Shayari
main zindagi ki duaa maangne lagaa huun bahut
jo ho sake to duaaon ko be-asar kar de
is baar bhi duniyaa ne hadaf ham ko banaayaa
is baar to ham shah ke musaahib bhi nahin the
اس بار بھی دنیا نے ہدف ہم کو بنایا
اس بار تو ہم شہ کے مصاحب بھی نہیں تھے
इस बार भी दुनिया ने हदफ़ हम को बनाया
इस बार तो हम शह के मुसाहिब भी नहीं थे

main zindagi ki duaa maangne lagaa huun bahut
jo ho sake to duaaon ko be-asar kar de
hamin mein rahte hain vo log bhi ki jin ke sabab
zamin buland hui aasmaan ke hote hue
dayaar-e-nur mein tira-shabon kaa saathi ho
koi to ho jo miri vahshaton kaa saathi ho
main chup rahaa ki vazaahat se baat baDh jaati
hazaar sheva-e-husn-e-bayaan ke hote hue
subh savere ran paDnaa hai aur ghamsaan kaa ran
raaton raat chalaa jaae jis ko jaanaa hai
raas aane lagi duniyaa to kahaa dil ne ki jaa
ab tujhe dard ki daulat nahin milne vaali