Shayari
main zindagi ki duaa maangne lagaa huun bahut
jo ho sake to duaaon ko be-asar kar de
samundar ke kinaare ek basti ro rahi hai
main itni duur huun aur mujh ko vahshat ho rahi hai
سمندر کے کنارے ایک بستی رو رہی ہے
میں اتنی دور ہوں اور مجھ کو وحشت ہو رہی ہے
समुंदर के किनारे एक बस्ती रो रही है
मैं इतनी दूर हूँ और मुझ को वहशत हो रही है

main zindagi ki duaa maangne lagaa huun bahut
jo ho sake to duaaon ko be-asar kar de
hamin mein rahte hain vo log bhi ki jin ke sabab
zamin buland hui aasmaan ke hote hue
dayaar-e-nur mein tira-shabon kaa saathi ho
koi to ho jo miri vahshaton kaa saathi ho
main chup rahaa ki vazaahat se baat baDh jaati
hazaar sheva-e-husn-e-bayaan ke hote hue
subh savere ran paDnaa hai aur ghamsaan kaa ran
raaton raat chalaa jaae jis ko jaanaa hai
raas aane lagi duniyaa to kahaa dil ne ki jaa
ab tujhe dard ki daulat nahin milne vaali