Shayari
main zindagi ki duaa maangne lagaa huun bahut
jo ho sake to duaaon ko be-asar kar de
samundaron ko bhi hairat hui ki Dubte vaqt
kisi ko ham ne madad ke liye pukaaraa nahin
سمندروں کو بھی حیرت ہوئی کہ ڈوبتے وقت
کسی کو ہم نے مدد کے لیے پکارا نہیں
समुंदरों को भी हैरत हुई कि डूबते वक़्त
किसी को हम ने मदद के लिए पुकारा नहीं

main zindagi ki duaa maangne lagaa huun bahut
jo ho sake to duaaon ko be-asar kar de
hamin mein rahte hain vo log bhi ki jin ke sabab
zamin buland hui aasmaan ke hote hue
dayaar-e-nur mein tira-shabon kaa saathi ho
koi to ho jo miri vahshaton kaa saathi ho
main chup rahaa ki vazaahat se baat baDh jaati
hazaar sheva-e-husn-e-bayaan ke hote hue
subh savere ran paDnaa hai aur ghamsaan kaa ran
raaton raat chalaa jaae jis ko jaanaa hai
raas aane lagi duniyaa to kahaa dil ne ki jaa
ab tujhe dard ki daulat nahin milne vaali