Shayari
main zindagi ki duaa maangne lagaa huun bahut
jo ho sake to duaaon ko be-asar kar de
ye saari jannatein ye jahannam azaab o ajr
saari qayaamatein isi duniyaa ke dam se hain
یہ ساری جنتیں یہ جہنم عذاب و اجر
ساری قیامتیں اسی دنیا کے دم سے ہیں
ये सारी जन्नतें ये जहन्नम अज़ाब ओ अज्र
सारी क़यामतें इसी दुनिया के दम से हैं

main zindagi ki duaa maangne lagaa huun bahut
jo ho sake to duaaon ko be-asar kar de
hamin mein rahte hain vo log bhi ki jin ke sabab
zamin buland hui aasmaan ke hote hue
dayaar-e-nur mein tira-shabon kaa saathi ho
koi to ho jo miri vahshaton kaa saathi ho
main chup rahaa ki vazaahat se baat baDh jaati
hazaar sheva-e-husn-e-bayaan ke hote hue
subh savere ran paDnaa hai aur ghamsaan kaa ran
raaton raat chalaa jaae jis ko jaanaa hai
raas aane lagi duniyaa to kahaa dil ne ki jaa
ab tujhe dard ki daulat nahin milne vaali