Shayari
is uljhan ko suljhaane ki kaun si hai tadbir likho
ishq agar hai jurm to mujrim raanjhaa hai yaa hiir likho
I
Ilyas Ishqikoi qarya koi dayaar ho kahin ham akele nahin rahe
tiri justuju mein jahaan gae vahin saath dar-badari rahi
کوئی قریہ کوئی دیار ہو کہیں ہم اکیلے نہیں رہے
تری جستجو میں جہاں گئے وہیں ساتھ در بدری رہی
कोई क़र्या कोई दयार हो कहीं हम अकेले नहीं रहे
तिरी जुस्तुजू में जहाँ गए वहीं साथ दर-बदरी रही
is uljhan ko suljhaane ki kaun si hai tadbir likho
ishq agar hai jurm to mujrim raanjhaa hai yaa hiir likho
vahi aag apnaa nasib thi ki tamaam umr jalaa kiye
jo lagaai thi kabhi ishq ne vahi aag dil mein bhari rahi
vaqt aayaa to khuun se apne daagh-e-nadaamat dho leinge
saaya-e-zulf mein jaagne vaale saaya-e-daar mein so leinge
us ki baalak-haT ke aage ghar chhoDaa bairaag liyaa
dekhein kyaa din dikhlaataa hai ab ye murakh man baabaa
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
jiteinge na ham se baazi-e-ishq
aghyaar ke piT paDeinge paanse
ziist se tang ho ai 'daagh' to jiite kyuun ho
jaan pyaari bhi nahin jaan se jaate bhi nahin
main huun bhi aur nahin bhi ajiib baat hai ye
ye kaisaa jabr hai main jis ke ikhtiyaar mein huun
ye ajnabi si manzilein aur raftagaan ki yaad
tanhaaiyon kaa zahr hai aur ham hain dosto
aankhon mein uD rahi hai luTi mahfilon ki dhuul
ibrat-saraa-e-dahr hai aur ham hain dosto