Shayari
qaazi ko jo rind kuchh chaTaa dein
masjid ki baghal mein mai-kada ho
I
Imdad Ali Bahrhogaa zarur ek na ik din mubaahisa
rizvaan se aur ku-e-sanam ke muqim se
ہوگا ضرور ایک نہ اک دن مباحثہ
رضواں سے اور کوئے صنم کے مقیم سے
होगा ज़रूर एक न इक दिन मुबाहिसा
रिज़वाँ से और कू-ए-सनम के मुक़ीम से
qaazi ko jo rind kuchh chaTaa dein
masjid ki baghal mein mai-kada ho
khush raho yaar agar ham se ho bezaar bahut
dil agar apnaa salaamat hai to dildaar bahut
mire qatl par tum ne biiDaa uThaayaa
mire haath kaa paan khaayaa to hotaa
ham na kahte the hansi achchhi nahin
aa gai aakhir rukaavaT dekhiye
mire baghair na ik-dam use qaraar aataa
zaraa bhi zabt jo mujh be-qaraar mein hotaa
sau fasaad ek ishq mein uTThe
boyaa ik tukhm uge hazaar darakht