Shayari
khush raho yaar agar ham se ho bezaar bahut
dil agar apnaa salaamat hai to dildaar bahut
I
Imdad Ali Bahrqaazi ko jo rind kuchh chaTaa dein
masjid ki baghal mein mai-kada ho
قاضی کو جو رند کچھ چٹا دیں
مسجد کی بغل میں مے کدہ ہو
क़ाज़ी को जो रिंद कुछ चटा दें
मस्जिद की बग़ल में मय-कदा हो
khush raho yaar agar ham se ho bezaar bahut
dil agar apnaa salaamat hai to dildaar bahut
mire qatl par tum ne biiDaa uThaayaa
mire haath kaa paan khaayaa to hotaa
ham na kahte the hansi achchhi nahin
aa gai aakhir rukaavaT dekhiye
mire baghair na ik-dam use qaraar aataa
zaraa bhi zabt jo mujh be-qaraar mein hotaa
na mohabbat hai dilon mein na hayaa aankhon mein
ye sanam tu ne banaae hain khudaayaa kaise
sau fasaad ek ishq mein uTThe
boyaa ik tukhm uge hazaar darakht
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
alag baiThe the phir bhi aankh saaqi ki paDi ham par
agar hai tishnagi kaamil to paimaane bhi aaeinge
mujhe ye fikr sab ki pyaas apni pyaas hai saaqi
tujhe ye zid ki khaali hai miraa paimaana barson se
fareb-e-saaqi-e-mahfil na puchhiye 'majruh'
sharaab ek hai badle hue hain paimaane
baDhaai mai jo mohabbat se aaj saaqi ne
ye kaanpe haath ki saaghar bhi ham uThaa na sake