Shayari
qaazi ko jo rind kuchh chaTaa dein
masjid ki baghal mein mai-kada ho
I
Imdad Ali Bahrzaahir-parast khalq hai zaahir durust kar
kaise sifaat-o-zaat jo kuchh hai libaas hai
ظاہر پرست خلق ہے ظاہر درست کر
کیسے صفات و ذات جو کچھ ہے لباس ہے
ज़ाहिर-परस्त ख़ल्क़ है ज़ाहिर दुरुस्त कर
कैसे सिफ़ात-ओ-ज़ात जो कुछ है लिबास है
qaazi ko jo rind kuchh chaTaa dein
masjid ki baghal mein mai-kada ho
khush raho yaar agar ham se ho bezaar bahut
dil agar apnaa salaamat hai to dildaar bahut
mire qatl par tum ne biiDaa uThaayaa
mire haath kaa paan khaayaa to hotaa
ham na kahte the hansi achchhi nahin
aa gai aakhir rukaavaT dekhiye
mire baghair na ik-dam use qaraar aataa
zaraa bhi zabt jo mujh be-qaraar mein hotaa
sau fasaad ek ishq mein uTThe
boyaa ik tukhm uge hazaar darakht