Shayari
aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
ashkon ne gir ke khaak pe miTTi kharaab ki
kyaa kyaa hansi uDi miri chashm-e-pur-aab ki
اشکوں نے گر کے خاک پہ مٹی خراب کی
کیا کیا ہنسی اڑی مری چشم پر آب کی
अश्कों ने गिर के ख़ाक पे मिट्टी ख़राब की
क्या क्या हँसी उड़ी मिरी चश्म-ए-पुर-आब की

aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
pyaari surat vo haae kyaa hogi
jis ko be-dekhe pyaar aataa hai
sote mein vo jo mujh se ham-aaghosh ho gae
jitne gile the khvaab-e-faraamosh ho gae
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
mohabbat ek taraf se mazaa nahin deti
kuchh iztiraab tujhe ho kuchh iztiraab mujhe
jo tire ishq mein tabaah huaa
koi us ko tabaah kar na sakaa