Shayari
aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
but kah diyaa jo main ne to ab bolte nahin
itni si baat kaa tumhein itnaa khayaal hai
بت کہہ دیا جو میں نے تو اب بولتے نہیں
اتنی سی بات کا تمہیں اتنا خیال ہے
बुत कह दिया जो मैं ने तो अब बोलते नहीं
इतनी सी बात का तुम्हें इतना ख़याल है

aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
pyaari surat vo haae kyaa hogi
jis ko be-dekhe pyaar aataa hai
sote mein vo jo mujh se ham-aaghosh ho gae
jitne gile the khvaab-e-faraamosh ho gae
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
mohabbat ek taraf se mazaa nahin deti
kuchh iztiraab tujhe ho kuchh iztiraab mujhe
jo tire ishq mein tabaah huaa
koi us ko tabaah kar na sakaa