Shayari
aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
is qadar mahv-e-tasavvur huun ki shak hotaa hai
aaine mein miri surat hai ki surat teri
اس قدر محو تصور ہوں کہ شک ہوتا ہے
آئینے میں مری صورت ہے کہ صورت تیری
इस क़दर महव-ए-तसव्वुर हूँ कि शक होता है
आईने में मिरी सूरत है कि सूरत तेरी

aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
pyaari surat vo haae kyaa hogi
jis ko be-dekhe pyaar aataa hai
sote mein vo jo mujh se ham-aaghosh ho gae
jitne gile the khvaab-e-faraamosh ho gae
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
mohabbat ek taraf se mazaa nahin deti
kuchh iztiraab tujhe ho kuchh iztiraab mujhe
jo tire ishq mein tabaah huaa
koi us ko tabaah kar na sakaa