Shayari
uDaati hai vo tegh chaadar lahu ki
shahidon ko khilat ataa ho rahaa hai
josh-e-junun mein lutf-e-tasavvur na puchhiye
phirte hain saath saath unhein ham liye hue
جوش جنوں میں لطف تصور نہ پوچھیے
پھرتے ہیں ساتھ ساتھ انہیں ہم لیے ہوئے
जोश-ए-जुनूँ में लुत्फ़-ए-तसव्वुर न पूछिए
फिरते हैं साथ साथ उन्हें हम लिए हुए

uDaati hai vo tegh chaadar lahu ki
shahidon ko khilat ataa ho rahaa hai
pyaari surat vo haae kyaa hogi
jis ko be-dekhe pyaar aataa hai
sote mein vo jo mujh se ham-aaghosh ho gae
jitne gile the khvaab-e-faraamosh ho gae
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
mohabbat ek taraf se mazaa nahin deti
kuchh iztiraab tujhe ho kuchh iztiraab mujhe
aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae