Shayari
uDaati hai vo tegh chaadar lahu ki
shahidon ko khilat ataa ho rahaa hai
mazaa leinge ham dekh kar teri aankhein
unhein khuub tu naama-bar dekh lenaa
مزا لیں گے ہم دیکھ کر تیری آنکھیں
انہیں خوب تو نامہ بر دیکھ لینا
मज़ा लेंगे हम देख कर तेरी आँखें
उन्हें ख़ूब तू नामा-बर देख लेना

uDaati hai vo tegh chaadar lahu ki
shahidon ko khilat ataa ho rahaa hai
pyaari surat vo haae kyaa hogi
jis ko be-dekhe pyaar aataa hai
sote mein vo jo mujh se ham-aaghosh ho gae
jitne gile the khvaab-e-faraamosh ho gae
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
mohabbat ek taraf se mazaa nahin deti
kuchh iztiraab tujhe ho kuchh iztiraab mujhe
aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae