Shayari
aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
muft mein toD ke rakh di miri tauba tu ne
kaam patthar kaa kiyaa shisha-e-sahbaa tu ne
مفت میں توڑ کے رکھ دی مری توبہ تو نے
کام پتھر کا کیا شیشۂ صہبا تو نے
मुफ़्त में तोड़ के रख दी मिरी तौबा तू ने
काम पत्थर का किया शीशा-ए-सहबा तू ने

aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
pyaari surat vo haae kyaa hogi
jis ko be-dekhe pyaar aataa hai
sote mein vo jo mujh se ham-aaghosh ho gae
jitne gile the khvaab-e-faraamosh ho gae
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
mohabbat ek taraf se mazaa nahin deti
kuchh iztiraab tujhe ho kuchh iztiraab mujhe
jo tire ishq mein tabaah huaa
koi us ko tabaah kar na sakaa