Shayari
mujhe tanhaai ki aadat hai meri baat chhoDein
ye liije aap kaa ghar aa gayaa hai haat chhoDein
shaairi kaar-e-junun hai aap ke bas ki nahin
vaqt par bistar se uThiye vaqt par so jaaiye
شاعری کار جنوں ہے آپ کے بس کی نہیں
وقت پر بستر سے اٹھئے وقت پر سو جائیے
शाइरी कार-ए-जुनूँ है आप के बस की नहीं
वक़्त पर बिस्तर से उठिए वक़्त पर सो जाइए

mujhe tanhaai ki aadat hai meri baat chhoDein
ye liije aap kaa ghar aa gayaa hai haat chhoDein
ye jo milaate phirte ho tum har kisi se haath
aisaa na ho ki dhonaa paDe zindagi se haath
guzar rahi thi zindagi guzar rahi hai zindagi
nasheb ke baghair bhi faraaz ke baghair bhi
us ne aavaara-mizaaji ko nayaa moD diyaa
paa-ba-zanjir kiyaa aur mujhe chhoD diyaa
teraa meraa koi rishta to nahin hai lekin
main ne jo khvaab mein dekhaa hai koi dekh na le
ye kah ke us ne mujhe makhmase mein Daal diyaa
milaao haath agar vaaqai mohabbat hai