Shayari
achchhaa hai yaa kharaab nahin is se vaasta
phuTaa huaa ye meraa muqaddar mujhe aziiz
ye apne hi kirdaar kaa hai natija
jo rab ki taraf se ye ham par ghazab hai
یہ اپنے ہی کردار کا ہے نتیجہ
جو رب کی طرف سے یہ ہم پر غضب ہے
ये अपने ही किरदार का है नतीजा
जो रब की तरफ़ से ये हम पर ग़ज़ब है

achchhaa hai yaa kharaab nahin is se vaasta
phuTaa huaa ye meraa muqaddar mujhe aziiz
manzil pe bhi pahunch ke mayassar nahin sakun
majbur is qadar hain shuur-e-safar se ham
koi zamin hai to koi aasmaan hai
har shakhs apni zaat mein ik daastaan hai
hamesha aag ke dariyaa mein ishq kyuun utre
kabhi to husn ko gharq-e-azaab honaa thaa
main lafz lafz mein tujh ko talaash kartaa huun
savaal mein nahin aataa na aa javaab mein aa
main shuaa-e-zaat ke siine mein gunjaa huun kabhi
aur 'karaamat' main kabhi lamhon ke khvaabon mein rahaa