Shayari
ham ne maanaa ki tire shahr mein sab achchhaa hai
koi iisaa ho to mil jaaeinge bimaar bahut
K
Khalid Yusufye adaaein ye ishaare ye hasin qaul-o-qaraar
kitne aadaab ke parde mein hai inkaar ki baat
یہ ادائیں یہ اشارے یہ حسیں قول و قرار
کتنے آداب کے پردے میں ہے انکار کی بات
ये अदाएँ ये इशारे ये हसीं क़ौल-ओ-क़रार
कितने आदाब के पर्दे में है इंकार की बात
ham ne maanaa ki tire shahr mein sab achchhaa hai
koi iisaa ho to mil jaaeinge bimaar bahut
use khabar hai ki anjaam-e-vasl kyaa hogaa
vo qurbaton ki tapish faasle mein rakhti hai
fan kaa daavaa hai to kuchh jurat-e-izhaar bhi ho
zeb detaa nahin fankaar ko buzdil honaa
ham ho gae shahid ye eazaaz to milaa
ahl-e-junun ko nukta-e-aaghaaz to milaa