Shayari
ye adaaein ye ishaare ye hasin qaul-o-qaraar
kitne aadaab ke parde mein hai inkaar ki baat
K
Khalid Yusufham ne maanaa ki tire shahr mein sab achchhaa hai
koi iisaa ho to mil jaaeinge bimaar bahut
ہم نے مانا کہ ترے شہر میں سب اچھا ہے
کوئی عیسیٰ ہو تو مل جائیں گے بیمار بہت
हम ने माना कि तिरे शहर में सब अच्छा है
कोई ईसा हो तो मिल जाएँगे बीमार बहुत
ye adaaein ye ishaare ye hasin qaul-o-qaraar
kitne aadaab ke parde mein hai inkaar ki baat
use khabar hai ki anjaam-e-vasl kyaa hogaa
vo qurbaton ki tapish faasle mein rakhti hai
fan kaa daavaa hai to kuchh jurat-e-izhaar bhi ho
zeb detaa nahin fankaar ko buzdil honaa
ham ho gae shahid ye eazaaz to milaa
ahl-e-junun ko nukta-e-aaghaaz to milaa
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
jis pari par mar miTe the vo pari-zaadi na thi
baad mein jaanaa ki us ke donon par hote the ham
dil to be-tarah meraa lag hi chalaa thaa us se
par main juun tuun ke bachaayaa ise khuddaari se
ai jalva-e-jaanaana phir aisi jhalak dikhlaa
hasrat bhi rahe baaqi armaan bhi nikal jaae