Shayari
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
bhule hain rafta rafta unhein muddaton mein ham
qiston mein khud-kushi kaa mazaa ham se puchhiye
بھولے ہیں رفتہ رفتہ انہیں مدتوں میں ہم
قسطوں میں خودکشی کا مزا ہم سے پوچھئے
भूले हैं रफ़्ता रफ़्ता उन्हें मुद्दतों में हम
क़िस्तों में ख़ुद-कुशी का मज़ा हम से पूछिए

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
hairat hai tum ko dekh ke masjid mein ai 'khumaar'
kyaa baat ho gai jo khudaa yaad aa gayaa
mire raahbar mujh ko gumraah kar de
sunaa hai ki manzil qarib aa gai hai
yaad karne pe bhi dost aae na yaad
doston ke karam yaad aate rahe
jhunjhlaae hain lajaae hain phir muskuraae hain
kis ehtimaam se unhein ham yaad aae hain
duaa ye hai na hon gumraah ham-safar mere
'khumaar' main ne to apnaa safar tamaam kiyaa