Shayari
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jhunjhlaae hain lajaae hain phir muskuraae hain
kis ehtimaam se unhein ham yaad aae hain
جھنجھلائے ہیں لجائے ہیں پھر مسکرائے ہیں
کس اہتمام سے انہیں ہم یاد آئے ہیں
झुँझलाए हैं लजाए हैं फिर मुस्कुराए हैं
किस एहतिमाम से उन्हें हम याद आए हैं

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
hairat hai tum ko dekh ke masjid mein ai 'khumaar'
kyaa baat ho gai jo khudaa yaad aa gayaa
mire raahbar mujh ko gumraah kar de
sunaa hai ki manzil qarib aa gai hai
yaad karne pe bhi dost aae na yaad
doston ke karam yaad aate rahe
haal-e-gham kah ke gham baDhaa baiThe
tiir maare the tiir khaa baiThe
duaa ye hai na hon gumraah ham-safar mere
'khumaar' main ne to apnaa safar tamaam kiyaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
yunhi dil ne chaahaa thaa ronaa-rulaanaa
tiri yaad to ban gai ik bahaanaa
ne tiir kamaan mein hai na sayyaad kamin mein
goshe mein qafas ke mujhe aaraam bahut hai
yaad dilvaaiye un ko jo kabhi vaada-e-vasl
to vo kis naaz se farmaate hain ham bhuul gae
apni yaadein us se vaapas maang kar
main ne apne-aap ko yakjaa kiyaa
main agar TuuTaa to saaraa shahr bikhregaa 'nabil'
aisaa patthar huun fasil-e-shahr ki buniyaad kaa