Shayari
kuchh talab mein bhi izaafa karti hain mahrumiyaan
pyaas kaa ehsaas baDh jaataa hai sahraa dekh kar
mire andar kai ehsaas patthar ho rahe hain
ye shiraaza bikharnaa ab zaruri ho gayaa hai
مرے اندر کئی احساس پتھر ہو رہے ہیں
یہ شیرازہ بکھرنا اب ضروری ہو گیا ہے
मिरे अंदर कई एहसास पत्थर हो रहे हैं
ये शीराज़ा बिखरना अब ज़रूरी हो गया है

kuchh talab mein bhi izaafa karti hain mahrumiyaan
pyaas kaa ehsaas baDh jaataa hai sahraa dekh kar
ragon mein zahr-e-khamoshi utarne se zaraa pahle
bahut taDpi koi aavaaz marne se zaraa pahle
kabhi uruuj pe thaa khud pe e'timaad miraa
ghurub kaise huaa hai ye aaftaab na puchh
reza reza kar diyaa jis ne mire ehsaas ko
kis qadar hairaan hai vo mujh ko yakjaa dekh kar
bahut dinon se mire baam-o-dar kaa hissa hai
miri tarah ye udaasi bhi ghar kaa hissa hai
zaraa ye dhuup Dhal jaae to un kaa haal puchheinge
yahaan kuchh saae apne aap ko paikar bataate hain