Shayari
ne gul ko hai sabaat na ham ko hai e'tibaar
kis baat par chaman havas-e-rang-o-bu karein
donon jahaan ki na rahi phir khabar use
do pyaale teri aankhon ne jis ko pilaa diye
دونوں جہان کی نہ رہی پھر خبر اسے
دو پیالے تیری آنکھوں نے جس کو پلا دئے
दोनों जहान की न रही फिर ख़बर उसे
दो प्याले तेरी आँखों ने जिस को पिला दिए

ne gul ko hai sabaat na ham ko hai e'tibaar
kis baat par chaman havas-e-rang-o-bu karein
tujhi ko jo yaan jalva-farmaa na dekhaa
baraabar hai duniyaa ko dekhaa na dekhaa
baagh-e-jahaan ke gul hain yaa khaar hain to ham hain
gar yaar hain to ham hain aghyaar hain to ham hain
aankhein bhi haae nazaa mein apni badal gaiin
sach hai ki bekasi mein koi aashnaa nahin
yak-ba-yak naam le uThaa meraa
ji mein kyaa us ke aa gayaa hogaa
saaqi mire bhi dil ki taraf Tuk nigaah kar
lab-tishna teri bazm mein ye jaam rah gayaa