Shayari
beTiyaan sab ke muqaddar mein kahaan hoti hain
ghar khudaa ko jo pasand aae vahaan hoti hain
nae kapDe nae juute nae bartan kharidegaa
vo apne saare meDal bech kar raashan kharidegaa
نئے کپڑے نئے جوتے نئے برتن خریدے گا
وہ اپنے سارے میڈل بیچ کر راشن خریدے گا
नए कपड़े नए जूते नए बर्तन ख़रीदेगा
वो अपने सारे मेडल बेच कर राशन ख़रीदेगा

beTiyaan sab ke muqaddar mein kahaan hoti hain
ghar khudaa ko jo pasand aae vahaan hoti hain
ik tiraa hijr jo baalon mein safedi laayaa
ik tiraa shauq jo siine mein javaan rahtaa hai
main nahin maantaa kaaghaz pe likhaa shajra-e-nasab
baat karne se qabile kaa pata chaltaa hai
us ki basti se pahle qabristaan
aashiqon ke liye ishaara thaa
mere sheron se miri umr kaa andaaza kar
mujh se mat puchh miraa yaum-e-vilaadat kyaa hai
raae kyaa qaaem kareinge ajnabi us shahr mein
rasta batlaae jahaan par ek andhaa aadmi