Shayari
zulm bhi sharmaa rahaa hai adl ki mizaan se
kuud jaanaa chaahiye minaar-e-paakistaan se
us ki basti se pahle qabristaan
aashiqon ke liye ishaara thaa
اس کی بستی سے پہلے قبرستان
عاشقوں کے لیے اشارہ تھا
उस की बस्ती से पहले क़ब्रिस्तान
आशिक़ों के लिए इशारा था

zulm bhi sharmaa rahaa hai adl ki mizaan se
kuud jaanaa chaahiye minaar-e-paakistaan se
aisaa kahaan ye zaaiqa gandum ke paas hai
roTi mein maan ke haath ki shaamil miThaas hai
miri vafaa mein kami hai to mujh se baat kare
use kaho ki vo aae muzaakaraat kare
raae kyaa qaaem kareinge ajnabi us shahr mein
rasta batlaae jahaan par ek andhaa aadmi
pahle soyaa kartaa thaa 'mahmud' lambi taan kar
phir shuur aataa gayaa aur ratjage baDhte gae
miri tarah se shajar bhi hain baaghiyaana mizaaj
jahaan se kaaTe gae the vahin se ug aae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
aae hai bekasi-e-ishq pe ronaa 'ghaalib'
kis ke ghar jaaegaa sailaab-e-balaa mere baad
ishq kaa ghar hai 'mir' se aabaad
aise phir khaanamaan-kharaab kahaan
marg hi sehat hai us ki marg hi us kaa ilaaj
ishq kaa bimaar kyaa jaane davaa kyaa chiiz hai
Thokar bhi raah-e-ishq mein khaani zarur hai
chaltaa nahin huun raah ko hamvaar dekh kar
sau fasaad ek ishq mein uTThe
boyaa ik tukhm uge hazaar darakht