Shayari
main divaana sahi lekin vo khush-qismat huun ai 'mahshar'
ki duniyaa ki zabaan par aa gayaa hai aaj naam apnaa
M
Mahshar Inayatilab pe ik naam hamesha ki tarah
aur kyaa kaam hamesha ki tarah
لب پہ اک نام ہمیشہ کی طرح
اور کیا کام ہمیشہ کی طرح
लब पे इक नाम हमेशा की तरह
और क्या काम हमेशा की तरह
main divaana sahi lekin vo khush-qismat huun ai 'mahshar'
ki duniyaa ki zabaan par aa gayaa hai aaj naam apnaa
un kaa gham un kaa tasavvur un ki yaad
kaT rahi hai zindagi aaraam se
chale bhi aao mire jite-ji ab itnaa bhi
na intizaar baDhaao ki niind aa jaae
har ek baat zabaan se kahi nahin jaati
jo chupke baiThe hain kuchh un ki baat bhi samjho
kisi ki bazm ke haalaat ne samjhaa diyaa mujh ko
ki jab saaqi nahin apnaa to mai apni na jaam apnaa
qasam jab us ne khaai ham ne e'tibaar kar liyaa
zaraa si der zindagi ko khush-gavaar kar liyaa