Shayari
muddaton baa'd kabhi ai nazar aane vaale
iid kaa chaand na dekhaa tiri surat dekhi
puchhne vaale bhari bazm mein qaatil ko na puchh
naam teraa hi agar le liyaa saudaai ne
پوچھنے والے بھری بزم میں قاتل کو نہ پوچھ
نام تیرا ہی اگر لے لیا سودائی نے
पूछने वाले भरी बज़्म में क़ातिल को न पूछ
नाम तेरा ही अगर ले लिया सौदाई ने

muddaton baa'd kabhi ai nazar aane vaale
iid kaa chaand na dekhaa tiri surat dekhi
hain sau tariqe aur bhi ai be-qaraar dil
izhaar-e-shikva shikve ke andaaz mein na ho
in se jab puchhaa gayaa bismil tumhaare kyaa karein
hans ke bole zakhm-e-dil dekhaa karein royaa karein
kam-sini kyaa kam thi is par qahr hai shakki mizaaj
apnaa naavak mere dil se khinch kar dekhaa kiye
kisi aankh mein niind aae to jaanun
miraa qissa-e-gham kahaani nahin hai
ahl-e-mahshar dekh luun qaatil ko to pahchaan luun
bholi-bhaali shakl thi aur kuchh bhalaa saa naam thaa