Shayari
ishq pe ijtihaad kar kar ke
mujtahid ho gayaa huun main gham kaa
nazar hain aai baDe arse baad aaj mujhe
vo aayatein ki jo mansukh ho gai thiin kabhi
نظر ہیں آئی بڑے عرصے باد آج مجھے
وہ آیتیں کہ جو منسوخ ہو گئی تھیں کبھی
नज़र हैं आई बड़े अर्से बाद आज मुझे
वो आयतें कि जो मंसूख़ हो गई थीं कभी

ishq pe ijtihaad kar kar ke
mujtahid ho gayaa huun main gham kaa
mohabbat ki bhi to ik bevafaa se
ye qatl-e-khud nahin to aur kyaa hai
hai isi baat kaa malaal mujhe
ki mujhe ab koi malaal nahin
hone do agar ho gae kuchh log bure bhi
gulshan mein agar phuul hain to khaar bhi honge
laDkaa na koi phir se ho barbaad dahr mein
tujh par na jaaein beTiyaan teri khudaa kare
raahon ke pattharon kaa bhalaa kyaa gila karun
ab aadmi ke dil bhi to patthar ke ho gae