Shayari
niklaa zabaan se jhuuT jo sach ke libaas mein
baDh ke sabhi ne ham ko gale se lagaa liyaa
chaand ke husn ki tasvir banaane vaale
mere mahbub kaa chehra nahin dekhaa tu ne
چاند کے حسن کی تصویر بنانے والے
میرے محبوب کا چہرہ نہیں دیکھا تو نے
चाँद के हुस्न की तस्वीर बनाने वाले
मेरे महबूब का चेहरा नहीं देखा तू ने

vo chaand hai to aks bhi paani mein aaegaa
kirdaar khud ubhar ke kahaani mein aaegaa
meri to por por mein khushbu si bas gai
us par tiraa khayaal hai aur chaand-raat hai
chaahiye thi aap ki tasvir so
khinch li tasvir main ne chaand ki
jab adhure chaand ki parchhaain paani par paDi
raushni ik naa-mukammal si kahaani par paDi
jali hain dhuup mein shaklein jo maahtaab ki thiin
khinchi hain kaanTon pe jo pattiyaan gulaab ki thiin
saaqi nazar na aae to gardan jhukaa ke dekh
shishe mein maahtaab hai sach boltaa huun main