Shayari
ek main ne hi ugaae nahin khvaabon ke gulaab
tu bhi is jurm mein shaamil hai miraa saath na chhoD
aap ko mere taaaruf ki zarurat kyaa hai
main vahi huun ki jise aap ne chaahaa thaa kabhi
آپ کو میرے تعارف کی ضرورت کیا ہے
میں وہی ہوں کہ جسے آپ نے چاہا تھا کبھی
आप को मेरे तआरुफ़ की ज़रूरत क्या है
मैं वही हूँ कि जिसे आप ने चाहा था कभी

ek main ne hi ugaae nahin khvaabon ke gulaab
tu bhi is jurm mein shaamil hai miraa saath na chhoD
safar mein achaanak sabhi ruk gae
ajab moD apni kahaani mein thaa
jab ham teraa naam na leinge
vo bhi ek zamaanaa hogaa
vo meraa jab na ho sakaa to phir yahi sazaa rahe
kisi ko pyaar jab karun vo chhup ke dekhtaa rahe
ab kisi raah pe jalte nahin chaahat ke charaag
tu miri aakhiri manzil hai miraa saath na chhoD
doston se mulaaqaat ki shaam hai
ye sazaa kaaT kar apne ghar jaaungaa