Shayari
aaj tasvir us ki dekhi hai
aaj phir niind kaa ziyaan hogaa
bint-e-havvaa ko bhuul jaaein ham
ye nahin aataa ibn-e-aadam ko

aaj tasvir us ki dekhi hai
aaj phir niind kaa ziyaan hogaa
abhi aaghaaz-e-ulfat hai chalo ik kaam karte hain
bichhaD kar dekh lete hain bichhaD kar kaisaa lagtaa hai
kisi ke yaad karne kaa agar hoti sabab hichki
miraa mahbub ho kar ke pareshaan mar gayaa hotaa
sochtaa huun kyaa miraa bantaa khudaa ke saamne
gar na hotaa yaa-rasulullah sahaaraa aap kaa
bahut aasaan lafzon mein ye us ne kah diyaa ham se
nahin tum se mohabbat jaao jo karnaa hai so kar lo
baat aati hai doston ki jab
mujh ko dushman 'aziz lagte hain