Shayari
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
vo mere ghar ke saamne se jaaein is tarah
ai ham-nashin raqib kaa ghar to udhar nahin
وہ میرے گھر کے سامنے سے جائیں اس طرح
اے ہم نشیں رقیب کا گھر تو ادھر نہیں
वो मेरे घर के सामने से जाएँ इस तरह
ऐ हम-नशीं रक़ीब का घर तो उधर नहीं

kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
kyuun paas mire aa kar yuun baiThe ho munh phere
kyaa lab tire misri hain main jin ko chabaa jaataa
apni kashti kaa hai khudaa haafiz
pichhe tufaan hai saamne girdaab
shaghl-e-ulfat ko jo ahbaab buraa kahte hain
kuchh samajh mein nahin aataa ki ye kyaa kahte hain
ye kyaa ki hamin marte rahein lutf to jab hai
taasir-e-mohabbat jo idhar ho to udhar bhi
sahal ho garche adu ko magar us kaa milnaa
itnaa main khuub samajhtaa huun ki aasaan to nahin