Shayari
kis zamaane ki ye dushman thi miri
is mohabbat kaa ho munh kaalaa miyaan
M
Mirza Zahirddin Azfarishitaabi apne divaane ko kar band
musalsal zulf se kar yaa nazar-band
شتابی اپنے دیوانے کو کر بند
مسلسل زلف سے کر یا نظر بند
शिताबी अपने दीवाने को कर बंद
मुसलसल ज़ुल्फ़ से कर या नज़र-बंद
kis zamaane ki ye dushman thi miri
is mohabbat kaa ho munh kaalaa miyaan
oson gai hai pyaas kahin dida-e-namin
bujhtaa hai aansuon se kahaan dil phunkaa huaa
ye divaane hain mahv-e-did dilbar
nahin kuchh maante yaan ko na vaan ko
ham gunahgaaron ke kyaa khuun kaa phikaa thaa rang
mehndi kis vaaste haathon pe rachaai pyaare
tere mizhgaan ki kyaa karun taarif
tiir ye be-kamaan jaataa hai
'azfari' ghuncha-e-dil band aur aai hai bahaar
sair-e-gul ko ki ye shaayad ba-takalluf khil le