Shayari
ishq mein kuudo agar shauq hai marne kaa bahut
is se gahri koi khaai mujhe maalum nahin
kuchh saaf us kaa chehra matlab nahin bataataa
yuun thaa ki jaise main ne quraan mein faal dekhaa
کچھ صاف اس کا چہرہ مطلب نہیں بتاتا
یوں تھا کہ جیسے میں نے قرآں میں فال دیکھا
कुछ साफ़ उस का चेहरा मतलब नहीं बताता
यूँ था कि जैसे मैं ने क़ुरआँ में फ़ाल देखा

ishq mein kuudo agar shauq hai marne kaa bahut
is se gahri koi khaai mujhe maalum nahin
kuchh chhalaktaa hai kuchh bikhartaa hai
sab mile to bhi sab nahin miltaa
aati jaati hai vo ab saans ki surat mujh mein
kab gai aur kab aai mujhe maalum nahin
aankhon mein us ki main ne aakhir malaal dekhaa
kin kin bulandiyon par apnaa zavaal dekhaa
aasmaanon mein uDaa karte hain phule phule
halke logon ke baDe kaam havaa karti hai
hamaare dil ko ab taaqat nahin sadme uThaane ki
bahut bhaane lage jo us se milnaa chhoD dete hain