Shayari
khanjar na kamar mein hai na talvaar rakhe hai
aankhon hi mein chaahe hai jise maar rakhe hai
M
Mohammad Amaan Nisaraa jaae kahin baad kaa jhonkaa to mazaa ho
zaalim tire mukhDe se dupaTTa jo ulaT jaae
آ جائے کہیں باد کا جھونکا تو مزا ہو
ظالم ترے مکھڑے سے دوپٹہ جو الٹ جائے
आ जाए कहीं बाद का झोंका तो मज़ा हो
ज़ालिम तिरे मुखड़े से दुपट्टा जो उलट जाए
khanjar na kamar mein hai na talvaar rakhe hai
aankhon hi mein chaahe hai jise maar rakhe hai
kis jafaa-kaar se ham ahd-e-vafaa kar baiThe
aakhir is baat ne ik roz pashemaan kiyaa
mujh mein aur un mein sabab kyaa jo laDaai hogi
ye havaai kisi dushman ne uDaai hogi
kyaa fusun tu ne khudaa jaane ye ham par maaraa
tujh se phirtaa nahin dil ham ne bahut sar maaraa
thaa jinhein husn-parasti se hamesha inkaar
vo bhi ab taalib-e-didaar hain kin ke un ke
mat munh se 'nisaar' apne ko ai jaan buraa kah
hai saahab-e-ghairat kahin kuchh khaa ke na mar jaae