Shayari
sadaa-e-vaqt ki gar baaz-gasht san paao
mire khayaal ko tum shaairaana kah denaa
'mohsin' aur bhi nikhregaa in sheron kaa mafhum
apne aap ko pahchaaneinge jaise jaise log
محسنؔ اور بھی نکھرے گا ان شعروں کا مفہوم
اپنے آپ کو پہچانیں گے جیسے جیسے لوگ
'मोहसिन' और भी निखरेगा इन शेरों का मफ़्हूम
अपने आप को पहचानेंगे जैसे जैसे लोग

sadaa-e-vaqt ki gar baaz-gasht san paao
mire khayaal ko tum shaairaana kah denaa
hamaari jaan pe dohraa azaab hai 'mohsin'
ki dekhnaa hi nahin ham ko sochnaa bhi hai
iblaagh ke liye na tum akhbaar dekhnaa
ho justuju to kucha-o-baazaar dekhnaa
zindagi gul hai naghma hai mahtaab hai
zindagi ko faqat imtihaan mat samajh
kyaa khabar thi hamein ye zakhm bhi khaanaa hogaa
tu nahin hogaa tiri bazm mein aanaa hogaa
is liye suntaa huun 'mohsin' har fasaana ghaur se
ik haqiqat ke bhi ban jaate hain afsaane bahut