Shayari
bichhaDte vaqt kahnaa thaa bahut kuchh
main kyaa kahtaa judaa hone se pahle
kuchh ajnabi raston se charaaghon ki thakan kaa
be-naam saa rishta hai to be-naam hi rah jaae
کچھ اجنبی رستوں سے چراغوں کی تھکن کا
بے نام سا رشتہ ہے تو بے نام ہی رہ جائے
कुछ अजनबी रस्तों से चराग़ों की थकन का
बे-नाम सा रिश्ता है तो बे-नाम ही रह जाए

bichhaDte vaqt kahnaa thaa bahut kuchh
main kyaa kahtaa judaa hone se pahle
vo chaahte hain ki har baat maan li jaae
aur ek main huun ki har baat kaaT detaa huun
ab eatibaar nahin meri jaan kisi kaa nahin
charaagh sab ke liye hai dhuaan kisi kaa nahin
havas ki dhuup mein phailaa hai shor-e-khalq-e-khudaa
sunaa kisi ne nahin bastiyon mein girya-e-khaak
mujh ko paane ki tamanna mein vo gharqaab huaa
main ne saahil ki tamanna mein use khoyaa hai
itnaa aasaan nahin lafzon ko ghazal kar lenaa
shor ko sher banaane mein jigar lagtaa hai