Shayari
bichhaDte vaqt kahnaa thaa bahut kuchh
main kyaa kahtaa judaa hone se pahle
main to Duubaa thaa kahin aur ubharne ke liye
mujh se har mauj inaayat kaa sabab puchhti hai
میں تو ڈوبا تھا کہیں اور ابھرنے کے لیے
مجھ سے ہر موج عنایت کا سبب پوچھتی ہے
मैं तो डूबा था कहीं और उभरने के लिए
मुझ से हर मौज इनायत का सबब पूछती है

bichhaDte vaqt kahnaa thaa bahut kuchh
main kyaa kahtaa judaa hone se pahle
vo chaahte hain ki har baat maan li jaae
aur ek main huun ki har baat kaaT detaa huun
ab eatibaar nahin meri jaan kisi kaa nahin
charaagh sab ke liye hai dhuaan kisi kaa nahin
havas ki dhuup mein phailaa hai shor-e-khalq-e-khudaa
sunaa kisi ne nahin bastiyon mein girya-e-khaak
mujh ko paane ki tamanna mein vo gharqaab huaa
main ne saahil ki tamanna mein use khoyaa hai
itnaa aasaan nahin lafzon ko ghazal kar lenaa
shor ko sher banaane mein jigar lagtaa hai