Shayari
'aazurdaa' mar ke kucha-e-jaanaan mein rah gayaa
di thi duaa kisi ne ki jannat mein ghar mile
M
Mufti Sadruddin Aazurdavo aur vaada vasl kaa qaasid nahin nahin
sach sach bataa ye lafz unhi ki zabaan ke hain
وہ اور وعدہ وصل کا قاصد نہیں نہیں
سچ سچ بتا یہ لفظ انہی کی زباں کے ہیں
वो और वा'दा वस्ल का क़ासिद नहीं नहीं
सच सच बता ये लफ़्ज़ उन्ही की ज़बाँ के हैं
'aazurdaa' mar ke kucha-e-jaanaan mein rah gayaa
di thi duaa kisi ne ki jannat mein ghar mile
is dard-e-judaai se kahin jaan nikal jaae
'aazurdaa' mire haq mein zaraa yuun bhi duaa kar
main aur zauq-e-baada-kashi le gaiin mujhe
ye kam-nigaahiyaan tiri bazm-e-sharaab mein
naaseh yahaan ye fikr hai siina bhi chaak ho
hai fikr-e-bakhiya tujh ko garebaan ke chaak mein
ai dil tamaam nafa hai saudaa-e-ishq mein
ik jaan kaa ziyaan hai so aisaa ziyaan nahin
kaTti kisi tarah se nahin ye shab-e-firaaq
shaayad ki gardish aaj tujhe aasmaan nahin