Shayari
miTTi kaa badan kar diyaa miTTi ke havaale
miTTi ko kahin taaj-mahal mein nahin rakkhaa
mire bachchon mein saari aadatein maujud hain meri
to phir in bad-nasibon ko na kyuun urdu zabaan aai
مرے بچوں میں ساری عادتیں موجود ہیں میری
تو پھر ان بد نصیبوں کو نہ کیوں اردو زباں آئی
मिरे बच्चों में सारी आदतें मौजूद हैं मेरी
तो फिर इन बद-नसीबों को न क्यूँ उर्दू ज़बाँ आई

miTTi kaa badan kar diyaa miTTi ke havaale
miTTi ko kahin taaj-mahal mein nahin rakkhaa
ab aap ki marzi hai sambhaalein na sambhaalein
khushbu ki tarah aap ke rumaal mein ham hain
kisi ke zakhm par chaahat se paTTi kaun baandhegaa
agar bahnein nahin hongi to raakhi kaun baandhegaa
kuchh nahin hogaa to aanchal mein chhupaa legi mujhe
maan kabhi sar pe khuli chhat nahin rahne degi
kuchh bikhri hui yaadon ke qisse bhi bahut the
kuchh us ne bhi baalon ko khulaa chhoD diyaa thaa
ye soch ke maan baap ki khidmat mein lagaa huun
is peD kaa saayaa mire bachchon ko milegaa