Shayari
ham bhi ai jaan-e-man itne to nahin naakaara
kabhi kuchh kaam tu ham ko bhi to farmaayaa kar
aalam is kaargah-e-sana kaa hai turfa ki yaan
naqsh banne nahin paataa ki miTaa dete hain
عالم اس کارگۂ صنع کا ہے طرفہ کہ یاں
نقش بننے نہیں پاتا کہ مٹا دیتے ہیں
आलम इस कारगह-ए-सन'अ का है तुर्फ़ा कि याँ
नक़्श बनने नहीं पाता कि मिटा देते हैं

ham bhi ai jaan-e-man itne to nahin naakaara
kabhi kuchh kaam tu ham ko bhi to farmaayaa kar
jitnaa ki ye duniyaa mein hamein khvaar rakhe hai
itne to gunahgaar zamaane ke nahin ham
sach ishq mein hain aashiq o maashuq baraabar
jo mushkil-e-majnun hai so hai mushkil-e-lailaa
lailaa chali thi haj ke liye jazb-e-ishq se
naaqa machal ke najd ki manzil mein rah gayaa
apni to is chaman mein nit umr yunhi guzri
yaan aashiyaan banaayaa vaan aashiyaan banaayaa
pichhaa kisi tarah ye miraa chhoDtaa nahin
haathon se ishq ke koi jaave kahaan nikal