Shayari
qaatil tiri gali bhi badaun se kam nahin
jis ke qadam qadam pe mazaar-e-shahid hai
chashm-e-lailaa kaa jo aalam hai unhon ki chashm mein
dekhe hai do do pahar majnun ghazaalaan ki taraf
چشم لیلیٰ کا جو عالم ہے انہوں کی چشم میں
دیکھے ہے دو دو پہر مجنوں غزالاں کی طرف
चश्म-ए-लैला का जो आलम है उन्हों की चश्म में
देखे है दो दो पहर मजनूँ ग़ज़ालाँ की तरफ़

qaatil tiri gali bhi badaun se kam nahin
jis ke qadam qadam pe mazaar-e-shahid hai
sach ishq mein hain aashiq o maashuq baraabar
jo mushkil-e-majnun hai so hai mushkil-e-lailaa
yuun hai Dalak badan ki us pairahan ki tah mein
surkhi badan ki jaise chhalke badan ki tah mein
lailaa chali thi haj ke liye jazb-e-ishq se
naaqa machal ke najd ki manzil mein rah gayaa
jangal mein Tesu phulaa aur baagh mein shagufa
fasl-e-bahaar aai mausam gayaa khizaan kaa
jitnaa ki ye duniyaa mein hamein khvaar rakhe hai
itne to gunahgaar zamaane ke nahin ham