Shayari
qaatil tiri gali bhi badaun se kam nahin
jis ke qadam qadam pe mazaar-e-shahid hai
aakhir to arsh par hain arvaah-e-shaairaan bhi
jaaveinge vaan to un ki garm anjuman kareinge
آخر تو عرش پر ہیں ارواح شاعراں بھی
جاویں گے واں تو ان کی گرم انجمن کریں گے
आख़िर तो अर्श पर हैं अर्वाह-ए-शाइराँ भी
जावेंगे वाँ तो उन की गर्म अंजुमन करेंगे

qaatil tiri gali bhi badaun se kam nahin
jis ke qadam qadam pe mazaar-e-shahid hai
sach ishq mein hain aashiq o maashuq baraabar
jo mushkil-e-majnun hai so hai mushkil-e-lailaa
yuun hai Dalak badan ki us pairahan ki tah mein
surkhi badan ki jaise chhalke badan ki tah mein
lailaa chali thi haj ke liye jazb-e-ishq se
naaqa machal ke najd ki manzil mein rah gayaa
jangal mein Tesu phulaa aur baagh mein shagufa
fasl-e-bahaar aai mausam gayaa khizaan kaa
jitnaa ki ye duniyaa mein hamein khvaar rakhe hai
itne to gunahgaar zamaane ke nahin ham