Shayari
qaatil tiri gali bhi badaun se kam nahin
jis ke qadam qadam pe mazaar-e-shahid hai
kushta-e-rang-e-hinaa huun main ajab is kaa kyaa
ki miri khaak se mehndi kaa shajar paidaa ho
کشتۂ رنگ حنا ہوں میں عجب اس کا کیا
کہ مری خاک سے مہندی کا شجر پیدا ہو
कुश्ता-ए-रंग-ए-हिना हूँ मैं अजब इस का क्या
कि मिरी ख़ाक से मेहंदी का शजर पैदा हो

qaatil tiri gali bhi badaun se kam nahin
jis ke qadam qadam pe mazaar-e-shahid hai
sach ishq mein hain aashiq o maashuq baraabar
jo mushkil-e-majnun hai so hai mushkil-e-lailaa
yuun hai Dalak badan ki us pairahan ki tah mein
surkhi badan ki jaise chhalke badan ki tah mein
lailaa chali thi haj ke liye jazb-e-ishq se
naaqa machal ke najd ki manzil mein rah gayaa
jangal mein Tesu phulaa aur baagh mein shagufa
fasl-e-bahaar aai mausam gayaa khizaan kaa
jitnaa ki ye duniyaa mein hamein khvaar rakhe hai
itne to gunahgaar zamaane ke nahin ham