Shayari
ham bhi ai jaan-e-man itne to nahin naakaara
kabhi kuchh kaam tu ham ko bhi to farmaayaa kar
paivasta gard-e-dasht rahi gar tah-e-darun
aayaa hai jism-e-qais agar pairahan ke biich
پیوستہ گرد دشت رہی گر تۂ دروں
آیا ہے جسم قیس اگر پیرہن کے بیچ
पैवस्ता गर्द-ए-दश्त रही गर तह-ए-दरूँ
आया है जिस्म-ए-क़ैस अगर पैरहन के बीच

ham bhi ai jaan-e-man itne to nahin naakaara
kabhi kuchh kaam tu ham ko bhi to farmaayaa kar
jitnaa ki ye duniyaa mein hamein khvaar rakhe hai
itne to gunahgaar zamaane ke nahin ham
sach ishq mein hain aashiq o maashuq baraabar
jo mushkil-e-majnun hai so hai mushkil-e-lailaa
lailaa chali thi haj ke liye jazb-e-ishq se
naaqa machal ke najd ki manzil mein rah gayaa
apni to is chaman mein nit umr yunhi guzri
yaan aashiyaan banaayaa vaan aashiyaan banaayaa
pichhaa kisi tarah ye miraa chhoDtaa nahin
haathon se ishq ke koi jaave kahaan nikal