Shayari
mujh se naaraaz hain jo log vo khush hain un se
main judaa chiiz huun 'naatiq' mire ashaar judaa
N
Natiq Gulavthijo balaa aati hai aati hai balaa ki 'naatiq'
meri mushkil kaa tariqa nahin aasaan honaa
جو بلا آتی ہے آتی ہے بلا کی ناطقؔ
میری مشکل کا طریقہ نہیں آساں ہونا
जो बला आती है आती है बला की 'नातिक़'
मेरी मुश्किल का तरीक़ा नहीं आसाँ होना
mujh se naaraaz hain jo log vo khush hain un se
main judaa chiiz huun 'naatiq' mire ashaar judaa
hangaama-e-hayaat se lenaa to kuchh nahin
haan dekhte chalo ki tamaashaa hai raah kaa
vahaan se le gai naakaam badbakhton ko khud-kaami
jahaan chashm-e-karam se khud-ba-khud kuchh kaam honaa thaa
aati hai yaad subh-e-masarrat ki baar baar
khurshid aate aate use kal uThaa to laa
sab ko ye shikaayat hai ki hanstaa nahin 'naatiq'
ham ko ye taajjub ki vo giryaan nahin hotaa
kuchh nahin achchhaa to duniyaa mein buraa bhi kuchh nahin
kijiye sab kuchh magar apni zarurat dekh kar