Shayari
mujh se naaraaz hain jo log vo khush hain un se
main judaa chiiz huun 'naatiq' mire ashaar judaa
N
Natiq Gulavthiaalam-e-kaun-o-makaan naam hai viraane kaa
paas vahshat nahin ghar duur hai divaane kaa
عالم کون و مکاں نام ہے ویرانے کا
پاس وحشت نہیں گھر دور ہے دیوانے کا
आलम-ए-कौन-ओ-मकाँ नाम है वीराने का
पास वहशत नहीं घर दूर है दीवाने का
mujh se naaraaz hain jo log vo khush hain un se
main judaa chiiz huun 'naatiq' mire ashaar judaa
hangaama-e-hayaat se lenaa to kuchh nahin
haan dekhte chalo ki tamaashaa hai raah kaa
vahaan se le gai naakaam badbakhton ko khud-kaami
jahaan chashm-e-karam se khud-ba-khud kuchh kaam honaa thaa
aati hai yaad subh-e-masarrat ki baar baar
khurshid aate aate use kal uThaa to laa
sab ko ye shikaayat hai ki hanstaa nahin 'naatiq'
ham ko ye taajjub ki vo giryaan nahin hotaa
kuchh nahin achchhaa to duniyaa mein buraa bhi kuchh nahin
kijiye sab kuchh magar apni zarurat dekh kar