Shayari
zinda rahne ke taqaazon ne mujhe maar diyaa
sar pe 'jaaved' ajab ahd-e-masaail aayaa
N
Nazar JavedmiTTi ki aavaaz suni jab miTTi ne
saanson ki sab khinchaa-taani khatm hui
مٹی کی آواز سنی جب مٹی نے
سانسوں کی سب کھینچا تانی ختم ہوئی
मिट्टी की आवाज़ सुनी जब मिट्टी ने
साँसों की सब खींचा-तानी ख़त्म हुई
zinda rahne ke taqaazon ne mujhe maar diyaa
sar pe 'jaaved' ajab ahd-e-masaail aayaa
vaar har ek mire zakhm kaa haamil aayaa
apni talvaar ke main khud hi muqaabil aayaa
apne hone ki arzaani khatm hui
mushkil se ye tan-aasaani khatm hui
ye to ai 'jaaved' guzre mausamon ki raakh hai
aakhirash kyaa DhunDhtaa hai tu khas-o-khaashaak main