Shayari
aabaad hai is dil kaa jahaan jis ke qadam se
vo mujh ko pukaare hai kisi aur jahaan se
zarra zarra karbalaa manzar-ba-manzar tishnagi
apne hisse mein to aai hai saraasar tishnagi
ذرہ ذرہ کربلا منظر بہ منظر تشنگی
اپنے حصے میں تو آئی ہے سراسر تشنگی
ज़र्रा ज़र्रा कर्बला मंज़र-ब-मंज़र तिश्नगी
अपने हिस्से में तो आई है सरासर तिश्नगी

aabaad hai is dil kaa jahaan jis ke qadam se
vo mujh ko pukaare hai kisi aur jahaan se
kyaa milaa juz sukut-e-be-paayaan
shor siine mein kaarvaan bhar thaa
tiraa khayaal mire dil mein kaise ghar kartaa
tiraa khayaal miri vahshaton se aage hai
daastaan-go thaa kisi baab se niklaa hogaa
vo jo kahtaa thaa ki divaar mein dar miltaa hai
tujh mein gar baarish samundar ke baraabar hai to kyaa
mere andar bhi hai sahraa ke baraabar tishnagi
aankh bhar ishq aur badan bhar chaah
shukr lab bhar gila zabaan bhar thaa